Sunday, August 16, 2009

इस १५ अगस्त पर

Hamesha Ki tarah is 15 August par badey utsaah ke saath utha nitya karm se nivritta hokar TV ke samney baith gaya TV pe sadhi chaal se chal rahey NSG commandos ko dekh achcha laga par unhi ke saath thaki chaal me chal rahey Pradhaan Mantri Dr Manmohan Singh ki chaal ko dekh niraasha hui
socha shaayad kuch badhiya bolenge par thodi der me hi samajh me aa gaya ki wo as a PM nahi balki ek Congresi neta ki tarah bol rahey hain tamam na purey karne wale vaadey aur saikdon hawai ghoshnaayein thodi der me man ukta gaya so TV band kar diya.
Bahar paani badi tez gati se baras raha tha jaise varun devta kisano ki badhali pe aanso baha kar barsat ki rasm adaygi kar rahey hon.
Thodi der intezaar ke baad pani ruka to ghar se nikla ki chalo kahin ka jhanda rohan dekh aayein
so police line gaya wahan par Tiranga shaan se lahra raha tha vikas bhawan, DM's Office, High-Court, Nagar Nigam me bhi jhanda rohan ho chuka tha.
Main dheemi gati se Motorcycle chalte hue Allahabad University ki ore chal pada .....

Tabhi achanak 3 Motorcycle par 9 schooli bachche nahi kishore kahun to behtar rahega school uniform mein kafi tez gati se pressure horn bajate hue bagal se nikle wo khoob zor se aapas me galian bakte jaa rahey they
5-6 ne apney muh pe cigarette dabayi thi aur dhuvaan udate ek dusarey se cigarette share kar rahey they maine apni speed badhai aur ek se pucha ki bhai kis class aur school ke students ho usne kaha 9 and 10 aur fir ek reputed Public School ka naam lekar ek kush kheench kar dhuan udayaa aur agle hi pal speed badha li...
next crossing par 2 Traffic ke jawan badi mustaidi se ek truck waley se no entry me aaney ki fees vasool rahey they...
Kuch chote bachchey Plastic ke Jhande bech rahey they kahin padha tha ki plastic ke jhandey ka bahishkar par unki umra dekh kar 2 kharid liye 1 tri colour cap bhi aur laga ke University pahunch gaya
10 baje VC saheb ne Tiranga fahraya aur NCC cadets ki salami li unke bhashan se zyada interesting mere peeche khade teachers ke comments they jinki taarif aur kalyan ki kai baat VC mahodaya kar rahey they ... Tabhi ek ek kar ke VC ke swagat me salami deney khade 3 NCC cadets aur 1 security guard gir padey ... pata chala ki garmi lag rahi thi ye bhi suna ki jooton ki naap sahi nahi thi ..
Shaam ko Allahabad Press Club (Allahabad News Reporters Club se ye naam kab aur kyon badla pata nahi) dwara aayojit Pahal programme me pahuncha ..
Wahan Police, Prashasan aur kai parties ke neta sab pahunche hue they IG,DIG, DM,COs 2 MP 1 Mantri, 2 MLA aur unke darzaon chamchey .. Patrakaron me saath me photo khichane ki hod thi
iske baad har saal ki tarah kai ne kafi besura gayan jhilaya par taaliyan batorien ..
Wahin ek ore Khana-peena chal raha tha aur peeche ke kamrey mein kewal PEENA..
Thodi der is peeney ka asar hua aur fir aadhi raat tak saarey patrakar mitron ne jam kar dance kiya aur stage tod dance kiya .. kai to lad ke apne ghar pahunche...
hall ke koney me lahi Bapu ki photo tangi akeli tanha aur udaas...
Main ghar aakar so gaya.

1 comment:

कृष्ण मोहन मिश्र said...

Accha lekh hai. par hindi hi mein try kariye english mein padhne mein dimag par jor lagana padta hai . Jaise meri yeh tippadi padte huye apko zor lgana pad raha hai.