Monday, March 8, 2010

मेरी माँ : अंतर्राष्ट्रीय महिला दिवस पर विशेष

Maa ke qadmoon taley jannat hai...
Maa ki mohabbat phool se ziyada taro-taza aur lateef hai....
Maa aik phool hai jo duniya ke kantey chubhney ke bavjood muskurata hai....
Maa ke baghair ghar soona soona lagta hai....
Maa ki aaghosh insaan ki pehli dars gah hai......
Maa zindagi ki tareek rahoon main roshni ka minaar hai....
Maa ki nafarmani karna kabirah gunahoon main sab se bara gunah hai,.....
Maa ki bad-dua se baho kiyu k khuda aur us ke darmiyan koi pardah nahi hota.....
Maa ko mosibat ke waqt jab bhi yaad karta hon to mujhe sakoon milta hai......
Maa se barh ker koi bara ustaad nahi....
Maa aik kitaab ki manind hai.....
Maa insanoon main sab se ziyada pyar karney wali hasti hai....
Maa ki nafarmani karney wala jannat main dakhil nahi hoga......
Maa aik aisa darakht hai jis ka saya zindagi ki thakan door karta hai......
Maa ki dua kamyabi ka raaz hai....
Maa duniya ki aziz tareen hasti hai.....
Maa ki khushnodi duniya main ba-is-e-rehmat aur akhrat main ba-is-e-nijat hai....
Maa ko gaali dena sab se bara gunah hai.....
Maa ka saya thandi cha-oun hai....
Maa dukhoon ka madawa hai....
Maa ke baghair kainat na mukammal hai.........